Jyothish mein viswash or Andha Viswash:-Raveendran Nair(jyothish Alankar)-9871690151

Jyothish mein vishwas ya Andha Vishwas:-

Mei ne yeh jaana he ki, logon ko jyotish mei ya toh  bilkul vishwas nahi hota ya bahut jyada vishwas hota he -ya yoon kahe ki andh vishwas hota he. Mei dono se  sahmath nahi hoon. kyonki dono hi stithiyan khattarwadi hoti he.

kuch log yeh bhi samajthe  he ki jyotishi ya panditji ya astrologer bhagwan hote  hein. Woh yeh sochte hein ki panditji ko sab kuch malum  hota he, ya phir sabkuch  malum hona chahiye. Woh antaryami hein. Is halath ke liye mei  unhe dosh nahi deta. Kayi jyotishi  apne aapko yeah jatate hein ki mei bhagwan ka pratiroop hoon ......ya khud bhagwan hoon.

kayi jyotishi TV mein sponsored programe banaakar apne aapki prashamsa kar raha hein. Magar ye sabh kitne samay thak chalega.....pichale 20 saal  se mei dekh raha hoon... kayi log aaye, kayi  programe bane...magar aaj woh log kahan he..... aur kitne  yaad karte hain un programes ko.....

Astrology ko apni  zindagi mein  sirf guidance keliye use karo....Astrology zindagi  nahi....yah zindagi sirf astrology nahi he.  Sab ki janam kundali alag hoti he.... sabki dasha/antar dasha  alag hoti jis kaaran sabki zindgi ek doosre se bhinn hoti hai, isliye ek doosare ki zindagi ki tharakki dekh khar ronese  fayda nahi hai. Astrologically  kuch improvement ho sakta hai magar limited option hote hein.....25% free will area he aur bhakki 75% prarabdh hei.Prarabdh toh bukathna hi padta hai, us se poori tarah mukt nahi ho sakte , isliye jyotish ek woh tareekha hai jisme diye upayon dwara hum apne prarabhdon se kuch hadd tak mukt ho sakte hain.



Raveendran Nair (Jyotish Alankar)
B-20-G, Delhi Police Apartment, Mayur Vihar, Phase-1, Noida Link Rd, Patparganj, New Delhi, Delhi 110091
098716 90151
...See More
Show less
1

Comments

Popular posts from this blog

മൂല മന്ത്രങ്ങൾ..... സമ്പാദനം..... രവീന്ദ്രൻ നായർ.

ക്ഷേത്രം,ദേവതകള്‍,ഉപാസന മൂര്‍ത്തികള്‍-രവീന്ദ്രന്‍ നായര്‍

ബലി തര്‍പ്പണം : എന്തിനു? എന്ത് ?ആര് എപ്പോള്‍ എന്ത് കൊണ്ട് ?എന്തിനാണ് ബലി ഇടുന്നത് ?-സംബാധനം-രവീന്ദ്രന്‍ നായര്‍-ജ്യോതിഷ് അലങ്കാര്‍